Adakar aur hadaayat Kar yasir Hussain ne Pakistan mein selaab ke douran Toronto mein hum awards ki taqreeb mein shirkat par tanqeed karne walon ko khari khari suna dien.
Social media par tanqeed karne walon ko jawab dete hue yasir Hussain ne kaha ke mein yahan kaam ke liye aaya hon, jaisay aap apne kaam ki jagah par ja rahay hon ge. Isi terhan cricketers cricket khail rahay hain, jaisay cinema mein log ticket beech rahay hain, mein bhi apna kaam kar raha hon.
Unhon ne kaha ke jab hamaray sayasatdan baghair kaam ke beron malik kaafi pi rahay hain, to mein kaam se bhi canada nahi ja sakta jis se mein ne apna bijli ka bil bherna hai
Yasir Hussain ne tanqeed karne walay fankaron/actors ko bhi aade hathon letay hue kaha ke jo adakar yeh keh rahay hain ke woh khud nahi gaye unko business class ke ticket nahi miley, mein ne saari chat parhi hai.
Wazeh rahay ke canada mein awards taqreeb mein shirkat par social media sarfeen ki janib se fankaron ko shadeed tanqeed ka nishana banaya ja raha hai taham Yasir Hussain ka kehna hai ke jaisay har dosra shakhs apna kaam kar raha hai hum bhi apna kaam kar rahay hain to aisay mein tanqeed belaa juwaz hai.
Leave a Reply